Definition List

Header Ads

Sunday, 20 January 2019

Har Juram Meri Zaat Sy Mansoob Hua – Zaid

0 comments
Har Juram Meri Zaat Sy Mansoob Hua – Zaid,

Kya meray siwa shehar men maasoom hen saray.



Yeh judai bhi Mohabbat ka imtehaan hoti,

Koi hansta ha apni Adaon py koi rota ha apni wafaon py.



Apnay dukhon py hansna, apni khushon py rona,

Kya kuch sikha jata ha kisi ka kisi sy juda hona.



Naseeb ka khail bhi ajeeb tarhan sy khaila hum ne,

Jo na tha naseeb men usi ko toot kr chaha baithay.



Dil gayaa thaa to ye aankhen bhii koii le jaata,

Main faqat aik hii tasviir kahaan tak dekhuun.



Har shakhs sy sun raha hun men daastan apni,

bas mujh ko he oata nahi men barbaad Q hua.



Jo ana chaho hazaar raastay, Na aana ho to uzar hazaron,

Mizaaj barham, Taweel rasta, Barasti baarish kharab mosam.



Aaj manzil py khara ha woh nai shaan k saath,

Tum hanstay thy jis rastay men gira k logon.



Teray salook sy koi Shikayat nahi KHUDA ki qasam,

Meray khaloos men he shayad koi kami ho gi..!!



Sab he taareefen krtay hen meri tehreeron ki,

Kabhi koi sunta mersay lafzon ki siskiyaan.

No comments: