Definition List

Header Ads

Sunday, 13 January 2019

Badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa ha

0 comments
Badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai

kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
Tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai

Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
Dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai


Wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
Ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai

'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
Hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai
-------------------------------------------
Aap ke qurb se pehle mujhe maloom na tha,

Zindagi itni dil-awaiz bhi ho sakti hai.


Tufan Mein Baha Hai, Na Sholon Mein Jala Hai,
Zakhami Hua Na Teron Se, Na Khanjar Se Kata Hai,

Kehte Hain Jisko Ishq Qayamat Hai, Bala Hai,
Jisne Ishq Ko Lalkaara Woh Duniya Se Mita Hai,


Wo Bholta hai na dil me utaarta hai mujhe.
Hamesha maar mohabat ki maarta hai mujhe.

Main us ka lamha mujaod hoon magar wo shakhs.
Fazool waqt samajh kar guzarta hai mujhe.

Bazahir aisa nahi pairh is hawaili ka.
Hawa chalay tu buhat phool marta hai mujhe.


Main us k hath me jata hon maalo zar ki tarha.
Wo roz qarz samajh kar utarta hai mujhe

---------------------
Sirf chehray ki Udasi say bhar aye Ansoo
Dil ka alam tu Abhi ap nay Dekha hi nahi

No comments: